Home | Urdu | Ilm e Zahiri
Ahwaal-e-Aimma Tafseer-wa-fan-e-Tafseer
[Biography of Exegetes of Quran and Science & Art of Quran]
To Read online click on the Title Page
Listen to Audio Clips of this book please scroll below
Naqsh-e-Qadm-e-Rasool jild baab 1 Ahwaal-e-Aimma mufasireen-wo-fan-e-tafseer: ye kitaab jumla 109 mufeed sawaalat-o-jawaabat par mushtamil hai, aur ahed-e-risalat se asr-e-haazir tak tafaaseer-e-quran aur Mufassir-e-Quran ke muta’llaq nihaayat aam fehem aur khoobsoorat andaaz mein tarteeb di gayi hai. Is mein hasb-e-zuroorat angrezi alfaaz ka bhi iste’maal kiya gaya hai, taake qaaraeen ko samajhne mein asaani ho. Mukhtasar yeh ke, is kitaab mein woh sab kuch ba husn-e-khoobi maujood hai jo ek taalib-e-ilm-e-Quraan-o-Tafseer ke liye mufeed hain.
Is kitaab ke pesh lafz mein un muntabaq aur masha’oor Tafaaseer-e-Quraan ke muta’llaq bayaan moujood hai jo Ahd-e-Risaalat, Asr-e-Sahaabah aur Asr-e-Tabaeen tak manzar-e-aam per aayeen. Quran-e-Kareem ki hifazat, fasaahat, balaagat, sunnat-e-nabwi ke rabt aur ahmiat ko samjhaya gaya hai.
Quran shareef ke muta’llaq zuroori ma’loomat ke silsilay main Ummiat-e-Rasool-e-kareem, Aejaaz-e-Quraan, Hifaazat-e-Quraan, Tasawwuf, Logaat-e-Quraan aur Rabt-e-Ayaat se waqif karaya gaya hai.
Is kitaab ke muqaddameh mein Tafseer-e-Quraan aur Ta’weel-e-Quran ke aapas mein farq aur imtiaz waaze’a kiyaa gayaa hai. Aur gair arabi zabaanon mein tafseer-e-quraan ki qismein, tafseeri tarjume ke sharaaet aur ilm-e-tafseer ki zuroorat aur ehmiat par zor dia gaya hai.
Rasool-e-kareem r aur sahaba ka fehm-e-Quraan, tafseer-e-Quraan-e-kareem ke masaadir, Hadith-e-Nabwi ka shareh Quran hona, Tafseer-e-Sahabah ki ehmiat, aur daur-e-Tabaeen ki tafseeri khusoosiat par roshni daali gayi hai.
Ta’ruff-e-mufassireen-e-daur-e-Tabaeen, Tafseer-e-Masoora mein Tabaeen ka ehm role, Tafseer-e-Quraan ki tadween ke daur ke muta’luq bayaan ke alaawa mashoor kutub-e-tafseer-e-bil-masoor aur un ki khusoosiat, Tafseer-e-Quraan-e-bil-Rraae aur mashoor kutub-e-Tafseer-e-Birraae al jaaez, Tafseer-e-Sufiya, Ilmi tafaseer aur tafseer-e-Asr-e-haazir ke baare main tafseel se bayaan kiye gaye hai.Is tafseer ke aakhir mein usool-e-tafseer aur ta’weel-e-tafseer-e-Quran [classical science of exegesis of Quran] par waazi’ andaaz mein roshni daali gayi hai.