top of page

Ahwaal-e-Aimma Mujtahideen-wo-fan-e-Fiqha

[Biography of Scholars of Jurists and Science & Art of Islamic jurisprudence]

To Read online click on the Title Page
To listen audio & download in brief aspect from the book:

Is kitaab ke pesh lafz [foreword] mein in umoor ko waazi’ kiya gaya ke usool-e-shariat [Islami Qanoon] mukammil taur par hatami, qata’ee aur yaqinee (ultimate) ilm hai. Is ilm mein zan-o-gumaan (Presumption) ka zara bhi dakhal nahi hai. Is ka har usool, har qaaeda aur har nazriya be-shumaar dalaae’l aur shawaahed ke isteqraa-e-taam (Qur’an-o-Sunnat) se yaqeen ki aakhri had tak saabit shudah (Proved) hai. Yeh naqs-o-rafa’ (breach and eradication) ke har ehtemaale (likelihood) se mubar(free) aur tarmeem-o-tagayyur (Modification) ke har imkaan se maawara (beyond) hai. Aimma-e-Fiqha ke Minhaaj [trail] aur ishtehaad [interpretation] ki no’eeat[nature] ikhtelaaf [conflict] ki nahi balke wasa’t aur jaami’at (Large scope of adoptability) ka aainaa [flawless approach] hai. Waaz’i ho ke dawaam-e-eksaaniat (Uniformity) ki khoobian [excellence] sirf islaami qanoon mein paayi jaati hain.

Is kitaab ke muqaddame [preface] mein usool-e-fiqa se mutaa’laq ehkaam [regulations] ki wazaahat [clarity] aur fawaaed, usool-e-fiqa ki baaqaaeda[systematic] tadween [compilation], asaalib-e-usool-e-fiqa [Modes of fiqh], Ikhtelaaf-e-aimma [Divergent views of aimma], Mushtahideen ki aqsaam aur darjaat [rank and status of interpreters of Islamic law] par mukhtasar magar jaami’ roshni daali gayi hai.

Is kitaab ke hisse awwal [part-1] mein islaami tasawwur-e-qanoon [concept of law] ka jadwal [flowchart] bhi hai. Fiqha-e-Islaamiya mein ehkaam-e-shariah ka pehla maakhiz [source] aur sar-chashma [basis] Kitaabullah[Qur’an] hone se mutaa’liqa [related] umoor [authoritative dispositions] aur Fiqha-e-islaamiya mein ehkaam-e-shariah ka doosra maakhiz baa’d qur’an, Sunnat-e-Rasool r (Ahadith-e-Nabwi) hone se mutaa’laq umoor, khilaafat / Amaarat [vicegerancy], Ajmaa’[consensus] aur qayaas [Analogy] par mudallil behs ki gayi hai.

Is kitaab ke doosre hisse [part-II] main ehwaal-o-ehkaam-e-shariah [description of Islamic Law] jaise (like); hukm-e-sharai [legal value], hukm-e-takleef [primary law], hukm-e-waza’i [declaratory law] aur maqaasid-e-islaami qanoon [objective of law] jis ke teht  pehla maqsad taa’een-e-af’aal [defining deeds and acts] doosra maqsad taa’een-e-huqooq [defining rights and dues] teesra maqsad taa’een-e-faraaez-o-waajibaat [defining mandatory obligations] ko jadwal [flowchart] ke zariye jaamia’ [comprehensive] guftagu [discussion] aur waazi’ bayaan kiya gaya hai.

Is kitaab ke hisse soowam [part-III] main ahwaal-e-mujtahideen [biography of Islamic interpreters o Islamic law] ke teht [subject] main: ta’ruff-e-fuqhaa, ahd-e-Risaalat-wo-Sahaabah karaam (Biographies of jurists during the period of The Holy Prophet r and his companions), ta’ruff-e-mushtehideen, ahde Ta’baaen Taba’ taaba’een [Biographies of interpreters of Islamic law during the period of ta’baeen and tabe ta’baeen], ta’aruff-e-fuqhaa barr-e-sageer hind-o-paak [Biographies of Indo-Pak jurists], fan-e-fiqha aur kuliyaat-e-fiqha (Science of fiqh and principles of fiqh) par nihaayat waazi’ aur mudallil [reasonable] guftagu [discussion] ki gayi hai.

Ye kitaab jumla 243 safaat aur 130 mufeed sawaalat-o-jawaabat par mushtamil hai.Is mein hasb-e-zuroorat angrezi[English] alfaaz[words] ka bhi iste’maal kiya gaya hai, taake qaaraeen[readers] ko samajhne mein asaani ho. Mukhtasar yeh ke, is kitaab mein woh sab kuch ba husn-e-khoobi maujood hai jo ek taalib-e-ilm-e-Fiqh-o-fan-e-Fiqha ke liye mufeed hain.

The complete book can be viewed and downloaded by clicking PDF 
bottom of page